14 October 1956 ko B. R. Ambedkar ne Deekshabhoomi mein apni patni aur hazaron anuyayiyon ke saath Buddhism apnaya tha. Ye sirf ek dharmik kadam nahi tha — ye tha samajik nyay aur samanta ki ek mahaan kranti ka aarambh ✊🏽✨ Aaj bhi lakhon log Dhammachakra Pravartan Din manate hue Babasaheb ko shraddhanjali dete hain. Nagpur mein is din ko lekar vishesh taiyariyan ki gayi hain — security badhai gayi hai aur railway ne special trains bhi chalayi hain.