FSSAI ne ek bada kadam uthaya hai — ab se sirf WHO-approved formulations hi “ORS” label ke under bechi ja sakengi! 💧 Pehle companies apne brand name ke saath “ORS” likh sakti thi, bas ek chhoti si warning deni hoti thi ki ye WHO-recommended nahi hai. Lekin ab ye rule poori tarah hata diya gaya hai. UNICEF ke mutabik, ORS — ek simple mix of namak, cheeni aur paani — dehydration aur diarrhoea ke treatment mein life-saving hai. Yeh decision consumers ko misleading aur fake health products se bachane ke liye liya gaya hai.
 
                             
                         By
                                        By 


 
                                     
                                     
                                    
 
                                                         
                                                         
                                                         
                                                         
                                                         
                                                         
                                                        







